Basant Panchami kyu manaya jata Hai,
 

Basant Panchami kyu manaya jata Hai,


Basant Panchami hinduon ka ek Pramukh tyohar Hai,
Is din Vidya ki devi mata sarasvati ki pooja Archana ki jati hai.

Mahilayen is din pila vastra Dharan karti hai,
Basant Panchami ko mata Saraswati ke janm Divas ke roop me pure Bharat me badi dhumdham se manaya jata Hai.

Basant Ritu aane ke sath Hi charo aur hariyali aur phoolon ki khushbu chha jaati Hai,
shastron me Basant panchmi ko Rishi panchmi bhi kaha Gaya Hai.

Basant panchmi aane ke sath hi prakriti ka kan kan khila uthta Hai,
manav pashu pakshi sabhi Ullash se bhar jaate Hai prachin kal Se Hi Basant panchmi ko Mata Saraswati ke janm Divas ke roop me manaya jata raha hai.

aisa Mana jata hai ki Srishti ke Nirman ke bad Srishti ke suni Pan ko dur karne ke liye,
Brahma ji ke commandal se Mata Saraswati prakat Hui aur unhone apni Bina ko bacha kar sampurn Srishti ke sunane Pan ko dur kar Diya.


Mata Saraswati vidya buddhi aur sangeet ke Devi hai,
Basant panchmi ka hindu dharm me bahut bada mahatva hai.

aisa bhi Mana jata hai ki is Din bhagwan Shri Ram Mata Sita ki Khoj me dakshin Bharat ke Karan van pahunche the,
Jahan per Shri Ram Ko jhuthe ber khilaye the.

Aaj bhi vahan ke vanvasi us sthan ko poojte Hai,
aur vahan Mata Sabari aur Bhagwan Ram ka mandir bhi banaya hua hai.

aisa kaha jata hai ki isi Din Bharat ke prasiddh sant Shiromani Shri Namdev ji maharaj ka janm hua tha,
sant Shiromani Shri Namdev ji ka janm kandharpur Marathwada Maharashtra me 26 October 1270 ko Kartik Shukla ekadashi samvat 1327 ko hua.

Shri Namdev ji sampurn darji samaj ke ek matra Pramukh sant the,
Jinki kuchh Pramukh rachnaen sikhon ki dharmik pustak Guru Granth Sahib me bhi dekhne Ko mil jaati Hai !



Post a Comment

Previous Post Next Post