Dhanteras kyu manaya jata hai,Dhanteras kaise manaya jata hai,

Dhanteras kyu manaya jata hai,


Dhanteras Sanatan Dharm ka ek Pramukh tyohar hai lekin Dhanteras kyu manaya jata Hai is parv ki Katha kya hai Dhanteras manane ka uddeshy kya hai yah bahut kam logon Ko gyat Hai,

log is Din dhan badhane ke liye koi upay karte hai Dhanteras ke din adhikansh log Sona Chandi ke abhushan athva bartan khareedte Hai.


Dhanteras parv tyohar manane ka Karan kya hai Kartik Krishna paksh ki trayodashi tithi ke Din Ko Dhanteras ya dhantrayodashi ke naam se Jana jata Hai,

is Din samudra manthan ke Samay hathon me Amrit Kalash liye hue Bhagwan Vishnu hi dhanmantari roop me prakat hue the.


is vishay me vistar se puranon me kaha Gaya Shrimad Bhagwat Puran ki unke hathon me Amrit se bhara hua kalash tha

vah sakshat Vishnu Bhagwan ke anusar Avatar the vahi ayurved ke pravartak yani Janak aur yagya bhokta dhanvantari Naam Se prasidh hue.


brahmavart Puran me Shri Krishna ne kaha ki Bhagwan dhanvantari swayam mahan purush hai aur sakshat Narayan ke aansu roop Hai,

purv kal me jab samudra ka manthan ho raha tha use Samay mahasagar Se unka pradurbhav vah Bhagwan Vishnu ke dhanvantri roop me prakat hone per yah Dhanteras ka Pavan Divas manaya jata Hai.


Bhagwan dhanvantari ayurved ke Janak aur vedya ke roop me jaane jaate Hai yahan per ek aur bar Dhyan rahe ayurved ke Janak ka matlab ya nahi hai,

ki dhanvantari jeene ayurved ke niyamon ko banaya tha unka Nirman kiya tha Aisa nahi Hai Bhagwan dhanvantari jeene ayurved ko prakat kiya tha.


jaise anek santo ke mat tatha ved Puran ke praman dwara ham vedo shastron ke Siddhant ko aap logon ke samksh rakhte Hai prakat karte Hai,

ham un siddhanton ko banate nahi Hai vaise hi Bhagwan dhanvantari jeene ayurved Ko prakat Kiya yah ayurved ved ka hi ansh Hai ved ka hi bhag hai.


Bhagwan dhanvantari ayurved ke Janak kahan jaate Hai aur Dhanteras unke prakat hone ka Divas hai isliye 2016 me Bharat Sarkar ne Dhanteras ko rashtriy arved Divas ke roop me manane ka nirnay Liya Hai,

Dhanteras se Judi kuchh padhaai Hai kya hamen vah karni chahie ya nahi is vishay me thoda samajhte Hai.


dhanvantri ji jab prakat hue to unki hathon me Amrit se bhara kalas tha ve kalas lekar prakat hue the,

Is avsar per log bartan kharidate hai parantu yah pratha hamen nahi karni chahie kyunki is pratha ka koi matlab nahi Hai.


Bhagwan mantri ji kalas lekar prakat hue isliye ham bhi bartan lekar prakat ho yah baat uchit nahi Hai,

Vaise vartman me log is Aase se bartan nahi kharidate hai vah dhan vriddhi ke liye kharidate hai.


iske alava bhi Sone Chandi ke abhushan athva bartan kharidate hai jisse unke dhan me vriddhi ho kintu yah sab karna Sahi nahi Hai,

vastav me yah divas dhanvantri ji tatha ayurved ke liye Hai ayurved me dhan Shabd ka abhipray hai swasthya se lekin Jin logon Ko ayurved ke vishay me gyat nahi Hai.


unke siddhanton ke bare me gyat nahi hai vah dhan ko mudra samajhte Hai isliye vah agyanta varsh arth ka anarth kar rahe hai,

Jahan swachh dhan ke vriddhi karni chahie uske liye prayer karna chahie vahan log arthik dhan ke vidai ke upay me Lage Hai.


ayurved anusar Sona Chandi ke bartan me khane se swasthya dhan ki vriddhi hoti hai lekin logon ne arthik Ghar ki vriddhi hoti hai aisa man liya Aisa samajh liya aur Sone Chandi ke abhushan tatha bartan khridne lage,

to Dhanteras parv manane ka uddeshy ayurved ke Siddhant ko samajhna aur swasth rahana Hai swasth sharir se Lakshya prapt me aasani hoti hai.


agar aap dhanwan buddhiman gyanvan hona chahte Hai to sharir ka swasth hona avashyak hai anyatha agar sharir swasth nahi rahega to kahin nahi Dard to kahi vahan Dard rahega usse Dhyan bhatakta hai,

ayurved me sabse bada dhan swasthya ko kaha Gaya hai dhan ki vriddhi karni hai to apne aap ko swasth rakhiye !


Post a Comment

Previous Post Next Post